Best Tips Backlinks kya hai kaise banye website ke liye Jane step by step Hindi mein
Hello Friends aaj mai aapko batane wala hu ki quality backlink kaise banaye jate hai, aur ye backlink kya hota hai isse humari website ko kya fayda milta hai
waise to internet pe search karne se hazaro backlink ke upar likhe article aap ko mil
jayenge lekin mai aap ko kuch alag tarike se bata raha hun aapne backlink ke bare me
padha honga. Par dosto aaj ham aapko batane wale hai ki kaise quality backlink
banaye jisse google search engine me aap ki website achhe rank pe show kare. Dosto
mai is post me kuch alag bate share karne wala hu jisse aap apni website ko easily
rank kar payenge. Sabse pehle to aap ye soch rahe honge ki quality backlink kya hai,
To mai aapse kehna chahunga ki jab website ka link kisi dusre website me show
hota hai aur waha se hume traffic milta hai ya kisi blog ya website ko visit karte hai aur
waha par comment karke apni site ka URL dalte hai to backlink to ban jata hai, lekin
uska matlab ye nahi ke wo ek quality link ban gaya hai quality backlink hume achhi
rank wali badi website se milna humare liye achha hota ha is post mai kuch
important tips share karne wala hu jisse aap step by step follow kar ke apni site ki traffic increase kar sakte hai
Blog me custom SEO Setting Kaise Enable Kare
Bohot se new blogger jisne abhi abhi blogging start kiya hai unko backlink ke
bare me jan lena bohot jaruri hota hai aur ye SEO ( Search engine optimization ) ke liye bohot jaruri hai
Quality Backlink Kya Hai :-
Quality backlink use kehte hai jisse humari website
ko achhe page rank best domain authority achhe page authority kisi famous website se
mile aur dosto sabse achha quality link wo hota hai jo google me index ho jaye jisse
humari blogg ko achha response mil sake search engine se.
Photoshop me kaise banaye Passport size photo ghar baithe
Backlinks Kya Hota Hai
Dosto backlink kisi dusre ki dofollow site pe
apna link show hona aur waha se hume traffic milna matlab backlink external link hota hai jise ham commenting ke through
ya social bookmarking karte hai. Kisi website ya blog par comment karke kis
tarha follow backlink hasil kar sakte hai, Dosto agar simple language me kahe to
aapne mere website par comment karke apni site ka jo URL dete hai aur koi dusra
visitor us link se aapki site par chala jata hai to use dofollow backlink kahte hai
ye humare website ki rank ke liye achha hota hai
No Follow Link :- No Follow link aam taur par ek atribaut hai anchor text ka, jaise koi
bhi website ke link par click karne se site usi page me open ho jati hai to use no
follow link kehte hai isse hume koi benifit nahi milta hai
Internal Link :- ye wo link hai jise ham apne hi blog me apne dusre post ka link
add karte hai use internal link kehte hai hume apne har post me kisi dusre post ki
kam se kam 4 se 5 Link add karna chahiye isse jab bhi visitor aaye to wo un link ko
follow kar ke humari dusri post ko asani se read kar sake jisse humare page ko acchi rank mile.
External Links :- External link use kehte hai jab ham kisi dusri website ka link hamare
website me add karte hai use external links kehte hai jaise facebook,witter,amazone,
aadi.
Guest Post:–
High ranking wale site me guest post karne se bhi quality backlinks banayi ja sakti hai,
Guest karne ke liye High ranking wale site ko target kariye aur usme kam se kam 1000
word ka fresh content publish kariye, Article likhte waqt ye dhyan rakhe ki aapne
puri tarah se use optimize kiya ho nahi to aapki guest post accept nahi kari jayegi,
Copyright content ka use guest post me nahi kare, guest post karne ke bahut se fayde
hote hai ek to aapko free ka backlinks milega aur log aapke bare me bhi janna suru karege.
Forum posting –
Forum ka use karke bhi aap apne site ke liye backlinks bana sakte hai isme aapko
jyada kuch karna nahi hota hai, Internet me apne blog se related forum khojiye aur
apne blog niche se related koi bhi sawal forum me register kariye isse agar audience
ko aapke question par intrested hoga to wo aapke sawal ka jawab dege aur aapke site
me ek baar visit jarur karega
to dosto ab aap samjh gaye honge ki aapki
website ke popularity badhane ke liye backlink kyo jaruri hota hai, Dosto iska
sabse bada benifit hamare blog par traffic ( Increase ) karne ke liye aur jitne jyada visitor aapki site par aayenge utni hi aapki
income badhengi.
bahot sare new blogger hai jo apne website me me acchi achhi post likhte hai par unko
koi benifit nahi milta kyon? iska reason sirf aur sirf aap ke blog ya website ka rank na
hona aur rank tabhi aap ko milta hai jab aap achhe unique post ke sath achha backlink aur traffic ke liye dhyan dete hai
No comments:
Post a Comment
Hope You Like Our Post Comment Here