SEO kya hai janiye hindi me
Dosto aaj hum batayenge aap ko SEO (
search
engine optimization) ke bare me
ye kya
hai aur kaise kaam karta hai isse
hume kya benefit ho sakta hai to chaliye
jante hai iske bare me details se
Search engine optimization (SEO) ye wo
tarike hai jinki help se aap apne
website
autr blog ko search engine jaise Google,
Bing , yahoo me top rank par
la sakte
hai jitni important aap ke liye website
design karna hai aur banana
hai ussi
prakar SEO bahot important hai jo aap
ki website aur blog ki organic
tariff ko
increase karta hai aur use search engine
me sabse upar lata hai blog
website ke
liye search engine optimization bahot important hai iske bina aap
apne site ko
upar nahi la payenge
So lets go
to know about SEO
Page and post ka heading
Aap apne har page ya post ka title small rakhe title jyada lamba nahi hona chahiye 90 characters se jyada na ho kam se kam title aap ke liye achha rahega title aisa hona chahiye jise read karne ke baad visitor samjh jaye ki ye kis subject me post likha gaya hai aur wo usse read kare
Keyword
Pahle log keyword tag ka use bahot kiya karte te aur iska use hota tha par ab time ke anusar ye badal gaya hai aur iski avasyakta samapt ho gayee hai aap apne page aur description me target key word ka use jarur kare
Description
Aap apne page ya post ke description ko 160 se 180 characters ke bich rakhe ! apne target keyword ko bhi description me jarur add kare dhyan de ki aap ke har page aur post ka description alag alag hota hai to isse aap apne page aur post ke anusar hi likhe
Sub heading
Apne har page ya post , article sab ko heading de kar likhe ye SEO ko support karta hai aur user ko bhi aise reading karne me maza ata hai to isliye aap ab apne post me heading de kar likhne ki koshish kare
Alt tag
Duniya ka koi bhi search engine photo ko nahi samjh aur read kar sakta hai jab tak aap search search engine ko ye nahi batate ki ye photo kiski hai aur kis bare me hai
Alt tag yahi kaam karta hai jab bhi aap koi post ya page likhe to dhyan de ki aap ke picture me alt tag aur , alt text jarur likhe sath hi apne target keyword ka bhi use kare kabhi bhi picture ko aise hi upload na kare humesh usse rename jarur kare aur usme alt tag use kare
Article
Jab bhi aap koi article likhe hai to iss baat ka dhyan humesh rakhe ki aap jo likh rahe hai wo kuch hat kar unique hona chahiye jisse log read karna pasand kare aur ek baar aap ke website me aane ke baad dubara jarur ana chahe dhyan rakhe ki apne article post me kam se kam 400 word jarur likhe aur target key ka bhi kahi kahi use kare ek baat aur apne keyword ko aap baar baar use nahi kar sakte hai sirf iska use aap 2% tak hi kare isse jyda nahi
Anchor text
Yah wo words hai jisse kisi dusre post ya page se link kiya jata hai jab bhi aap apni website ya blog likhe to kam se kam 3-4 link ka use jarur kare ye link aap apne hi kisi post ya page se le sakte hai ( internal Linking) ye aap ke page ya post ke liye hota hai ( external linking ) ye aap kisi dusre ke post ya article ko apne blog me lagane ke liye kar sakte hai
Inbound link
Jitney jyada log apne website blog ya article se aap ke website ko link karenge aap ka website utna hi upar jayega isliye kewal original post aur article hi likhe aap jitna achha likhenge log aap ke post ko utna hi jyada like karenge aur isse aap ka organic traffic jarur increase hoga aur aap apne article writing ke liye duniya me famous ho jayenge
To dosto aap humesh kuch naya soche aur likhe jisse logo ki help ho sake aur aap ki earning ka jariya bhi ban sake
Mujhe ummid hai ki aaj aap ne SEO ke bare me samjha aur sikha hoga aage bhi aap ke liye kuch naya post jarur le kar aunga
No comments:
Post a Comment
Hope You Like Our Post Comment Here