New Way To Learn Blogging

2017/08/31


Android Mobile Se Kaise Change Kare Blogger Template




Hello frinds aaj mai aap ko batane ja raha ki kaise aap apne Android Mobile se Blog ka Theme change kar sakte hai Ye post mene


 un bhaiyo ke liye likhi he jinhe blogging karne ka sauk hai but unke pass computer ya laptop nahi hai mai aaj aap ko batane ja raha ki aap asani se apne Android Mobile


 se blogging kar sakte hai apne blog ka Theme change upload kar sakte hai pehle ye bata du ki template hota kya he template wo hota he jo aap blogger me aad kar ke

 aap ne blog ko new look de sakte he template se aap  apne blog ko badiya design kar sakte he or aap jitne chahe widgets laga

 sakte hai blog me waise to hum jab blog banate he blogger me hume bohot template choose karne ke liye bohot template ate he humare samne par wo aab purane ho


 chuke he or fast loading nhi hote he tu jo aap ki site par visitor ate he une jada dear tak wait karna acha nhi lagta he to hota ye he ki aap ki site der se khul ne ke karan


 visitor aap ki site pe na ate hue dusri site pe chale jate he  aap log bhi aisa karte

 honge koi site jaldi nahi khulti he to aap vi  dusri site kholte he kehne ka matlab ye he ki aap ke template me ye chije honi chaye fast loading wali ho seo friendly hona


 chahiye Mobile friendly hona chahiye kyonki sabse jyada visitor mobile se ate hai To aab me batane ja raha hu ki android mobail se template kaise badle blog ka



Android Mobile se kaise change kare blogger template



Step by step follow kare




Sab se pehle aap google play stores Quike File Unzip or Zip  download kare fir use

 install karne ke bad open kare aap ne jo template download ki hogi wo download ke folder me a jayegi aap us template par click

 kare jo aap ko blog me lagana he 


Android Mobile Se Kaise Change Kare Blogger Template
1. app open karne ke baad aap ke samne kuch aisa page khulega niche screen shot dekhe 



yaha par aap ko second wala option choose karna hai Unzip A File (Extract Content )

Second option choose kare

2. Select Item- sabse upar me hai first number par isme aap ne jo theme

 download kiya hoga usse choose kare jisse aap Unzip karna chahte hai aur apne blog me lagana chahte hai aap ki file download

 me hogi jaha aap ne download kiya hoga aap ki file abhi zip formate me hogi usse hi hume Unzip karna hai to select Item- download folder me jakar apna theme

 select kare


2. uske baad niche dekhenge option hoga Create sub-Folder Isme aap tick kar lijiye 
taki aap ki jo theme hai wo Extract hone ke

 baad ek separate folder me save hogi waha par aap ki file jo hogi wo XML formate me hogi usse hi hume apne blog me upload

 karna hoga kaise mai bataunga abhi 
Android Mobile se theme change kare blogger ki

3. Ab aap sabse niche wala option jo hai Unzip Now pe Click kare , bas friends ab aap ki file Unzip ho gayee hai aap apne download wale folder me ja kar dekh sakte hai aap ko aap ki XML theme mil jayegi 

to dosto humne succsessfully zip file ko Unzip kar ke apna XML theme prapt kar chuke hai ab hume isse ape blog me upload kaise karna hai yaha bhi mai aap ko bata raha hun taki aap ko kisi bhi prakar ki koi dikkat na aaye to chaliye jante hai kaise upload karna hai blog pe theme ko 

1.Login Blogger

apne jo blog banaya hai uspe login karne ke  baad dashboard me aa jayenge yaha par aap ko Theme pe Select Karna hai kaise karna hai aap niche wali image me dekh sakte hai 
Dash board me jakar select themeAndroid Mobile Se Kaise Change Kare Blogger Template

2. Back up Restore 
theme ko select karne ke baad upar left side me backup restore ka option hoga usse click kare click karne ke baad aap ke samne ek pop up window khulegi usme aap ko sabse pahle apne purane theme ka backup le le yani ki usse download kar le taki koi galti hone pe aap wapas apne purane theme ko upload kar sake 



। Android Mobile Se Kaise Change Kare Blogger Template

ab aap choose file pe Click kare aur aap ne jo file Unzip ki thi template wali wo XML file yaha par choose karna hai 

ab upload pe Click kare dekhenge ki aap ki file upload hone lagi hai bas 2 minutes me aap ki theme successfully change ho chuki hai aap view blog kar ke dekh sakte hai 

ummid hai dosto aap ko meri ye post jarur pasand aayi hogi aage bhi mai aap ko aise hi naye naye post me blogg ke bare me batata rahunga please comment agar achha laga ho to 


1 comment:

  1. Anonymous1:43 PM

    Aapne bahot achi jankari share ki hai thanks 'www.makvanainfo.com' par ek hindi success bloggers ki list banI he jaha aap bhi aapki website details add kar sakte hai. Add karne ke liye humara contact kare.

    ReplyDelete

Hope You Like Our Post Comment Here