online kaise ho income kaise kamaye
Dosto aaj mai aap ko bataunga ki aap internet se kaise paise kama sakte hai
pahle logo ko internet se kaise kamana hai iski jankari bilkul nahi thi par aaj ka
time aisa hai ki bina internet ke log apne aap ko adhura samjhte hai aaj kal sara
work sirf internet se hi hota hai chahe
wo shopping, ho food, movie dekhna song ,sunna bahot kuch pahle log sirf apne job
ya shop se hi earn karte te par ab ka time
change ho chukka hai ab aap apne job aur
business ke alwa internet par bhi part
time income kar sakte hai kuch log to sirf
aaj ki date me internet pe hi job kar rahe
hai kuch log aise bhi hai jinhone apna job hi chhod diya hai aur wo internet se achhi
income bhi kar rahe hai mai ye nahi
kahunga ki aap apni job chhod de aur
internet ke bharose baithe rahe agar aap bhi kuch part time extra income earn
karna chahte hai to ye platform aap ke liye kafi achha sabit ho sakta hai Internet
se quick money earn karne ke liye proper strategy or planning ki jarurat hoti hai
jise aapko right way me bas apply karna
hota hai. Online Internet se paise kaise
kamaye is baare me aapko Google par
bahut se legal tarike mil jayenge. Inme se
mai aapke liye kuch top 15 paise kamane ka tarika lekar aaya hoon, aap inme se koi
ek choose kare jo aapko aapke liye best lagta hai.
Kya internet se really kamaya ja sakta hai ?
Yes, Ji haan Internet se paise kamana
possible hai. Mai khud ek Internet blogger
hoon aur mai online achhe paise bhi
kama raha. In fact meri tarah aur bhi
Internet blogger hai jo is field me successful hai.aur paise kama rahe hai
Internet se income karne ke liye kitna time lagta hai
Simple si baat hai aap ek raat me ameer
(rich) nahi ban sakte. Kisi bhi kaam me time lagta hai so iske liye aap me patience
hona chaiye. Sayed aap ye jaante hoge ki duniya ka sabse hard work paisa kamana
hota hai. So my opinion ki aap pehle apne kaam ko poori imaandari se kare jisse 100% aapko success milegi.
Internet Se Kitne Paise Kamaye ja sakte hai?
Basically ye aapke hard work par depend karta hai. Internet ka koi bhi platform ho agar aap regular uspar kaam karenge to aap Monthly 15000 se 1 lac. tak earn kar sakte hai.
1.Website or Blog Se Online Paise Kamay
Internet par Blogging ko paise kamane ka sab se best source mana jata hai .
Blogging se aap regular basis par bahut paise kama sakte hai. Aapko bas ek blog
create kar ke uspar kuch high quality content publish karna parta hai. Aapko
apne blog par kuch aisa likhna hota hai
jisse ki other logo ko help ho sake. Iske liye aapko apne blog ki contents ka
marketing karna hota hai jisse ki log aapke blog ko visit kare. In cheezo ko
better way se karne ke liye aapko SEO (Search Engine optimization ) and Social
Media Marketing ki knowledge bhi honi chaiye.
2.Affiliate Marketing Se Paise Kamaye
Jin logo ko Blogging, YouTub and
Freelancing ke field me jada knowledge
nahin hota unke liye sahi choice hai. Isme aapko kisi affiliate network site se jurna
hai aur phir unki products ki marketing
karni hai. Isme bas aapko online unke products ki links ko refer karna hota hai.
Aur phir jaise hi refer ki gayi links se koi product sell ho jata hai to company aapko uska commision pay karta hai. Affiliate
marketing se paise kamane ki complete details mai aapko next post me bataunga.
3.Online Teaching Se Paise kamaye
Teaching ka demand kabhi bhi khatam nahin ho sakta. Better education praapt
karne ke liye students aaj achhe teacher ki talaash me rehte hai. Kya aap ek
teacher hai ya phir aapko padhaana
pasand hai. Agar apka jawaab haan hai to online teaching ke through aapke liye
paise kamana koi bari baat nahin hai. Abhi Internet par jaye aur online teaching ke liye apply kare.
Best online teaching site: Skillshare and Udemy
4.Book Writing Se Paise Kamaye
Agar aap kisi bhi field me super expert hai to us topic par book writing kar ke bhi
paise kama sakte hai. Iske liye aapko apni skill aur better research ke sath ek book likh kar online publish karna hoga.
5.PPD Site Se Online Paise Kamaye
PPD yaani ki Pay Per Download site se bhi asaan tarike se paise kamaya ja sakta hai.
Iske liye aapko is site par files upload karna hai aur uske baad diye gaye link ko
Internet par share karna hai. Jab other log aapke share kiye gaye link ko open kar ke file download karna chahenge to aise me
unko pehle survey complete karna hoga. Ab jaise hi koi survey complete karta hai to aapki income hoti hai.
Clicking Ads Program Se Paise Kamaye
Internet par kuch aise genuine sites available hai jo aapko ads dekhne aur
mail read karne ke paise deti hai. In sites me ek popular site hai ClixSense jo reputed PTC sites me se ek hai.
6.Paid Surveys Ke Through Paise Kamaye
Is method se bhi aap easily online paise kama sakte hai. Iske liye aapko koi hard
work karne ki jarurat nahin parti. Yahan par Internet se paise kamane ke liye aapko kisi ek survey site par khud ko
register karna hai. Register successfully karne ke baad aapko daily site par login kar ke paid surveys ko complete karna hai.
7..Online Translating Job Se Paise Kamaye
Translating ka matlab hota hai anuwaad karna, matlab ki ek language ko doosre
language me convert karna. Agar aapka kisi 2 language par achha command hai to aap translating ka job kar sakte hai. Online translator ka job karne ke liye
aapko pehle register karna hai aur apna profile create karna hai. Translating site aapko kuch contents provide karega jise
aapko convert karna hoga. Online translating job se aap daily ke Rs 500 to 700 tak earn kar sakte hai.
8.photo sell kar ke
Agar aapka interest photography me hai to ye aapke liye best choice hai. Aaj kal bahut saare log jinki hobby photo click
karna hai wo apne click kiye gaye pictures ko sell kar ke achhe paise kama rahe hai. Internet par aise bahut se sites
hai jo pictures click kar ke upload karne ki paise deti hai. Aap is site par register
kar ke apne mobile or digital camera se click gayi pictures ko yahan par sell kare aur paise kamaye.
Best image stock site: iStockphoto
9..Social Media Site+Mobile Se Paise Kaise Kamaye