SEO ki setting kaise kare blogger me
Dosto Iss post me mai apko bataunga blogspot blog ki
SEO setting kaise karte hai
seo setting correct ho to apke blog ki traffic
badti hai blogger ne is feature ko is liye
diya hai taki search robot wahi
index karega jo hum chahte hai aur ye apke blog
ko search engine me index karta
hai but app is post ko bahot hi carefully read kare
aur badme follow kare kyo
ki settings me thodi bhi problem ho gaya to apke blog ka
nuksaan hoga apke blog
ke post ke content index ki jagaha de index bhi ho sakte hai is
liye ye
settings bahot hi important hai.is liye aap search engine optimization (SEO )
ki setting carefully kare
1. Sabse pahle app apne blogger account ko login
kare aur iske baad apna blog select
kare jis ki apko settings karni hai abhi
apke samne blogger dashboard hoga isme left
side me jo drop down menu hai usme
settings ko click karege to settings ke option
ki list dikhegi abhi isme nichi
jo Search Preferences hai wusme jaye apke samne
kuch settings option hoge jaise
maine niche screenshot me dikhaya hai
In
settings ke bare me mai apko step by
step batata hu app isse dyan se carefully
read kare exmaple ki taur par me niche
screen dikhaunga screenshot ki help se
app ye settings karna.
2. Meta tagsDescription : Description ko
edit par click karke yes karna hai
yes karne
ke baad apke samne 1 box show hoga apko isme apne blog ki description
likhna hai
matlab apka blog kis related hai apke blog me kya hai par isse 150
character ke upar na likhe aur jo yaha likha hai wuse copy
karke jo basic
setting me header description hai usme paste kardo 2 no me ek hi description
dena nahi to masla ho jayega.
3.. Error and redirections \ Custom Page
not foundYaha
par app samajo apke
blog ka koi page delet ho gaya ho aur page not found ataa
ho to yaha par app
html coding me ek achhasa design banakar massage likh sakte
hai aur
home page ki link bhi de sakte hai
4.Custom robots header tagsCustom
robots header tags ko apko enable karna
hai uske age edit par click kare aur
yes kareJaise
hi app yes karenge apke
samne bahot sare options khul jayege in options ka kya
karna hai wo maine
screenshot me dikhaya hai app screenshot carefully dekhkar
jis jis
button ko maine right kiya hai app bhi usi ko right kare aur last me
save changes kare magar thoda dhyan se. Ye
setting ap upar screen shot me dekhakar carefully karna aur bad me
save changes
kar dena jaise hi app save changes karenge waise app new post
jaha se karte hai
waha par jaye aur dekhiye apke post ki seo setting enable
ho chuki hogiisse ke sath thank you dosto aap humesha mere blogg pe ate rahe hume aap ki help kar ke khusi hogi
No comments:
Post a Comment
Hope You Like Our Post Comment Here