Dosto aaj hum yaha par baat karenge Blog aur
website ke design aur uske layout ke bare me ki ye kaisa hona chahiye aur achha
design kyun jaruri hota hai
Blog website ka layout kaisa hona chahiye
Aap koi bhi website ya blog banate hai to uska sab se most part hota hai uska
design
aur layout ye aap ke upar hai ki aap usse kaisa design dete hai aap ka design
aur layout hi aap ko success tak
pahucha sakta hai ya down kar sakta hai is
liye aaiye jante hai ki iske liye aap
ko kya karna chahiye taki log jab aap ke
website par aaye to unka wapas jane ka mann hi na kare ,
1.theme aap ke website ka theme template aap ke topic
ke anusar neat
and clean hona chahiye koi bhi user gandi si dikhne wali kachra
jaise website pe jana pasand nahi karta hai
aap ka theme , template jaldi load
hone wala hona chahiye dhyan rakhe agar loading lene me jyada time lagta hai to
user usse close kar dusri site pe chala jata hai jo jaldi load hone wale hote
hai , is liye aise template theme ka use kare
jo dikhne me sundar ho jaldi load
hone wali ho aur SEO friendly bhi hona chahiye
2.layout
Website blog ka layout aap ke topic aur aap ki
avasyakta ke anurup hona
chahiye menu always upar ya left side me hona
chahiye aur wo visitor ko saaf
saaf
dikhna chahiye advertisement , ads ko humesha right side me lagaye ads ko
kahi
bhi aise hi na laga de jisse readers ko aap ka post reading karne me dikkat ho,
3.Title
Aap ke blog ka title aap ke topic ke according hi hona chahiye
jisse readers
samjh sake ki ye kis bare me likha gaya hai dhyan rakhe ki aap ka
title bahot jyda lamba nahi hona chahiye
4.Plugin/ widgets
Aap ke blog ya website ke plugin aur
widgets
bahot jaruri hota hai iski help se
aap apne website me achha look aur feature
de sakte hai agar aap ne apna
blog wordpress me banaya hai to usme aap kais are
widgets aur plugin ka use kar sakte hai aur apne blog ko aur bhi sundar good
looking bana sakte hai
5.Comments
Aap ke blog website ke liye comment
box ka hona
bahot important hai jisse aap ke post ke bare me log apni advice
aur unhe aap
ka article pasand aya ki nahi ya kisi type ki help ki jarurat hoti hai to iske
dwara wo aap se direct
contect kar sakte hai , dhyan dene wali baat ye hai ki kya koi bhi aap ke commentbox me
comment kar sakta hai
to dhyan de ki ye sirf approve hone ke baad hi dikhe aisa
kar ke aap apne blog ko scam se bacha sakte hai
6.post
blog par koi bhi post aap likh rahe hai to bahot
dhyan se neat and clean likhe
aise word ka use kare jo logo ko asani se samjh
me aaye apne post writing me
aap keyword ka use jarur kare H 1, H 2, and H 3,
heading ka sahi use kare apne topic ke according image lagaye aur
video bhi
upload kare aap agar ho sake to roj ek post jarur kare jisse har din readers ko
kuch naya milta rahe aap ka
post kam se kam 500 word ka jarur hona chahiye
7.SEO.
Search engine optimization (SEO) se aap
apne blog
ya website ko search engine jaise google, yahoo, bing, etc, pe ache
rank par la
sakte hai jisse aap ka blog popular ho jayega aur aap famous ho jayenge
No comments:
Post a Comment
Hope You Like Our Post Comment Here