New Way To Learn Blogging

2017/08/05


How to make passport size photo in Photoshop step by step in Hindi



Dosto jaisa ki aap sabhi jante hai hume kahi na kahi kisi na kisi kaam ke liye 

always passportsize ki photo ki jarurat hoti hai chahe wo new sim card lena 

ho, school mein, collage mein,new bank account open karne ke liye , ya 

fir apni new bike ya car hi kyon na leni ho har jagah hume passport size ki 

photo ki jarurat padti hai ! aur day per day har chiz ka rateincrease ho raha 

hai aise me hum passport photo ko ek baar me hi khichwa kar 1000 copy

to nahi rakh sakte na , aap to jante hi hai marke t me passport photo 

khichwana kitna costlyhota hai agar aap 6 copy lete hai  to aap ko kareeb 40 

se 50 rs. Pay karne honge hai na sahibaat to dosto chaliye hum aaj 

Photoshop se passport size photo bana kar kaise hum kuch paiso ki shaving 

kar sakte hai kyonki choti choti bachat hi ek din badi shaving banti hai
yaha par photoshop se passport size photo banane ki jankari di gayee hai   
Mai aap ko aaj  photoshop me passport size photo banana ka tarika bata raha 

hun wo   4x6 size ki photo ka  hai  jiski lap price 5-10 rs hai itne rate me aap 

khud ka banaya hua passport size photo prapt kar sakte  hai ya kisi bhi 

computer shop me jaha color printer available hai  chaliye jante hai kaise ghar baithe passport photo banye.

1.photoshop open karne ke baad aap jo bhi photo ko passport size me banana chahte hai usse open kar le, File>>Open

2.Crop Tool select kare uske baad aap ko niche image me dikhaye hue tarike se setting karna hai. 
yaha par photoshop me passport size photo banane ki jankari di gayee hai

1.Width: 1.4 in,
2.Height: 1.7 in,             
3.Resolution 300

3.Ab aap ko setting ke baad Crop Tool ko apni image me lejakar select kare 

humne jo size set kiya hua hai utna hi crop tool select kar leta hai  image me dekhe
How to make passport size photo in Photoshop step by step in hindi

4.Ab aap ko fir se File me jakar new Document lena hai, File >New
Photoshop me kaise Banaye Passport Size Photo
5. Image me dikhaye Anusar setting kar le
Photoshop me kaise Banaye Passport Size Photo
 Width :6 inch, Height: 4 inch, Resolution: 300 pixels/ inch, color mode: RGB color, 8Bit Background contents: White 

6. Ab aap ko Move Tool select karna hai 

Photoshop me kaise Banaye Passport Size Photo
7. Ab move tool ki  help se apne image ko khich kar new document me lana hai jaisa maine image me dikhaya hai

Photoshop me kaise Banaye Passport Size Photo

8. uske baad ab aap ko apne image ko set karna hai yani iski copies banani 

hai to iske liye aap apne image ke upar mouse le jaye aur fir ALT button press 

kiye hue mouse ki help se move kar ke aap ko image ki copies banani hai 

Photoshop me kaise Banaye Passport Size Photo
9. finally aap ka passport photo ban chuka hai ab isse aap SAVE kar lijiye, jpg ya png file me

Photoshop me kaise Banaye Passport Size Photo
 to dosto aap aap apni photo ko le jakar studio, lab, me print kara le  ummid 

hai aap ko meri ye post pasand aayi hogi comment me jarur bataye. 


Tags:- passport size photo, Photoshop, hindiinfozone, Hindi, 

1 comment:

  1. I think this is an informative post and it is very useful and knowledgeable. therefore, I would like to thank you for the efforts you have made in writing this article.Chinese Interpreter BD and Chinese Interpreter Service in Bangladesh japanese interpreter Bd Chinese to bengali interpreting service in Dhaka

    ReplyDelete

Hope You Like Our Post Comment Here