New Way To Learn Blogging

2017/08/03

Data usage ko kaise kare track 



Dost kai bar mobile aur computer par data bahot fast kharch hota hai aise me 

aap apne data ko track kar sakte hai ki aap ka data kaha aur kaise extra excess 

ho raha iske liye aap ko apne mobile aur pc me kuch achhe application hai jo aap 

ke data ke anusar set hota hai aur extra usage hone se pahle aap ko indicate kar 

deta hai  to chaliye iske bare me hum details se jante hai 

Data usage ko kaise kare track hindiinfozone


Mobile Device ke liye


Ab mostly mobile operating  system data usage ko track kar sakte hai ! Android 

aur IOS ki device ki setting me data usage  monitor ka option hota hai , 

window phone me 8.1 data sense naam ka ek aap ata hai jo aap ke data usage 

par barabar apni nazar banaye rakhta hai aur usse control karta hai , Black 

berry 10 ka built in device monitor bata sakta hai ki kaun sa app ya sevice jydada data use kar rahi hai

1.My data manager


Android and IOS ke liye ye device bahot useful application hai  yah career ke 

data network (2G. 3G ) aur aap ke wifi data usage ke liye data counter display 

karta hai yah data transfer limit set karne ki permission deta hai yah batata 

hai ki kitna data bacha hua hai aap historical data dekh sakte hai aur apna plan set kar sakte hai

2.Onavo Count

Ye application Android aur IOS ke liye free hai isme aap ko apna data plan 

input dena padta hai isme data transfer cap aur data plan ki price ke bare me 

batana padta hai yah app easily pata laga sakta hai ki kaun sa application 

jyada data usage kar raha hai aur yah aap ko iski notification de deta hai !

3.Counters


Windows phone ke liye counters very useful hai yah windows phone ke data 

usages ko manage karta hai ek baar data limit set karne ke baad yah app limit 

puri hone se pahle hi notification send kar deta hai  yah app voice call aur SMS usages ki bhi jankari provide karata hai !

4.Data monitor


Yah application Blackberry 10 ke liye khas taur par design kiya gaya hai ! yah 

background me chalta rahta hai aur pata lagata hai ki aap ka data kitna use 

ho raha hai yah batata hai ki aap ke datal imit  ka kitna percent use kar 

chuke  hai  phone RESTART hone par yah application apne aap start ho jata hai !

Computer ke liye

Windows me aap ko apni network connection details me jane ke baad aap 

ko data traffic ke bare me basic knowledge mil jati hai ! yah jankaari 

present seshan se judi hui hoti hai computer par data usage ko puri tarah 

se track karne ke liye aap ko third party software ki jarurat padti hai MAC aur 

Windows ke liye bahot sare application yaha uplabdh hai  jinki help se aap apni 

data usages par asani se nazar rakh sakte hai

1.Networx



Agar aap apne ghar par broadband connection se multiple computer chala 

rahe hai to yah software very useful hai yah system tray me set ho jata hai aur 

real time traffic monitor karta hai total data usages , daily data usages, weekly, 

and monthly formate me dekh sakte hai iski report ko aap exel me bhi export kar sakte hai

2.Bitmeter OS



Yah software aap ko web browser ya command line tools ka use kar ke aap ke 

data usage ko monitor karne ki suvidha deta hai usage ki complete report aap 

dekh sakte hai  isse aap excel me export bhi kar sakte hai data usages ki limit 

cross hone par aap ko notification bheja jata hai

3.Surplus Meter


Yah application Mac ke liye design ki gayee hai , yah connection type ( itharnet, airport, USB modem ) aur 

download limit set karne ki suvidha deta hai  aap transfer count se upload ko 

bahar nikal sakte hai isse start karne par aap ko sent aur received data ka 

active count nazar ata hai yaha se aap daily data usages ko bhi dekh sakte hai

Menu meter


Yah software mac users ke liye hai , yah current connection data transfer ke bare 

me jankari deta hai data usages ko aap graph ya Numbers ke rup me dekh sakte 

hai yah 1 kb per second ke data transfer ko ignore kar sakta hai isse aap 

incoming , outgoing data transfer show karne ke liye set kar sakte hai 

No comments:

Post a Comment

Hope You Like Our Post Comment Here